Tuesday, 30 July 2013

TALEEM AOR TARBIYAT


Yahaan URDU,ARABI,FAARSI,NAAZRA aor HIFZ ki taaleem di jati hai.
NAAZRA mukammal karne ke baad talaba(students) ko HIFZE QURAAN ki taaleem di jaati hai.
HIFZ mukammal karne ke baad students ko FAARSI aor ARABI ki taaleem di jaati hai.
Taaleem fajr baad se lekar naashte ke waqt tak hoti hai jisme HIFZE QURAAN ke talaba apna sabaq sunaate hain.
Fir naashte se faarig hone ke baad se zuhr tak taaleem di jaati hai
Fir zuhr se asr tak. Asr se magrib tak bachcho ki chutti hoti hai.
Fir magrib se isha tak taaleem ka silsila shuru rahta hai  jime bachche apna apna sabaq yaad karte hai.
Sabhi taaleem se faarigeen students ko unki taaleem ke mutaabiq kisi achhchhe madrase me daakhla dilaaya jaata hai.
Aor faarigeen students ko SANAD(CERTIFICAT) bhi diyaa jaata hai.
Hafte me ek baar jumaraat ke din bachcho ka ek program hotaa hai jisme zyaada se zyaada students hissa lete hain.
Jumaa ke din fajr se le kar magrib tak chhutti hoti hai taaki bachche apni zrooriyaat se faarig hosake aor fir maghrib baad taaleem zoroshor se suru ho jaati hai.

No comments:

Post a Comment